O Jane Wale Ho Sake To

Lyrics by Shailendra Singh

o jaanevaale ho sake to lauT ke aanaa
ye ghaaT tuu ye baaT kahii.n bhuul na jaanaa

Ghaat: A landing-place; quay, wharf; ferry; ford; bathing-place, or a place for washing clothes
Baat: Way, road, path, track, footpath, byway

bachpan ke tere miit tere sa.ng ke sahaare
Dhuu.NDhe.nge tujhe galii-galii sab ye Gam ke maare
puuchhegii har nigaah kal teraa Thikaanaa

Bachpan: Childhood
Miit: A friend; lover
Nigaah: Attention, Care, Close, Custody, Glance, Look, Regard, Sight
Thikaanaa: Abode, Bearing, Goal, Limit, Proper Place

hai teraa vahaa.N kaun sabhii log hai.n paraae
pardes kii garadish me.n kahii.n tuu bhii kho naa jaae
kaa.NTo.n bharii Dagar hai tuu daaman bachaanaa

Paraaya: Belong To Another
Pardes: Alien, Foreign
Gardish: About, Bad Time, Circulation, Luck, Misfortune, Revolution, Vagrancy, Wandering
Dagar: Path, Road, Track

de de ke ye aavaaz koii har gha.Dii bulaae
phir jaae jo us paar kabhii lauT ke na aae
hai bhed ye kaisaa koii kuchh to bataanaa

Paar: Across, Opposite Bank, End, Termination
Bhed: Secret

1 comment so far

  1. Nishant on

    Beautifully sung by Mukesh ji….


Leave a comment