Archive for the ‘Rana Sahri’ Category

Kabhi Guncha Kabhi Shola

Lyrics by Rana Sahri

kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah
log milte hain badalte huye mausam kee tarah

Guncha: Flower Bud
Shola: Blaze, Light
Shabnam: Dew

mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
hijr mein eed manaayee hai moharrum ki tarah

Ilzaam: Allegation, Accusation Accuse, Blame, Libel
Hijr: Separation, Absence From One’s Country
Eed: Festival of Fast Breaking (after the month of Ramzaan)
Moharram: The first month of the Islamic calendar; a period of mourning

maine khushboo kee tarah tujhko kiya hai mehsoos
dil ne chheda hai teri yaad ko shabnam ki tarah

Khushboo: Aroma, Scent, Fragrance
Mehsoos: Felt, Perceived, Sensible
Chhedna: To Tease

kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai
dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah

Ham-dard: Benefactor, Kindly, Partner In Adversity Sympathizer, Tender-Hearted
Masiihaa: Christ, One Who Can Give Life
Nashtar: Surgeon’s Knife
Marham: Cure, Liniment, Ointment, Salve