Archive for the ‘Ahmed Shamim’ Category

Kabhi Hum Khoobsoorat The

Lyrics by Ahmed Shamim. Please leave a comment if you know the poet.

kabhi ham khoobsoorat the
kitaabon main basi khushbu ki maanind saans saakin thi
bohat se an-kahe lafzon se tasveerein banaate the
parindon ke paron par nazm likh kar
door ki jheelon main basne waale logon ko sunaate the
jo hamse door the lekin hamare paas rehte the

Maanind: Just As, Like, Similar To, Same As
Saakin: Motionless, Occupant, Quiescent, Resident
Lafz: Word, Saying, Term
Parindaa: Bird, Winged
Paron: Wings (in this context)
Jheel: Lake

naye din ki musaafat jab kiran ke saath aangan main utartii thi
to ham kehte the
“ammi tittlion ke par bahut hi khoobsoorat hain”
hamein maathe pe bosaa do ke ham ko tittlion ke, jugnuon ke, des jaana hai
hamain rangon ke jugnoo, roshni ki tittlian, aawaz deti hain
naye din ki musaafat rang main
doobi hawa ke saath khidki se bulaati hai
hamein maathe pe bosaa do…

Musaafat: Joining hands, shaking hands
Aangan: Frontyard, Yard
Tittlii: Butterfly
Maatha: Forehead
Bosaa: Kiss
Jugnuu: A fire-fly; a glow-worm
Khidki: Window